Kaath ki haandi

Ehsaan faramosh duniyan se gila kya karna,
sharafat ko kabhi hamari kamzori na samajhna.
kaath ki handi ek baar hi chuhle ki nazar hoti hai,
dubara phir kabhi bhoole se rukh es taraf nahin karna.


People often say “ kaam aane pe gadhe ko bhi baap banana padta hai”. I feel so strong about this cruel statement that comes from a very mean place

Duniya kaam aane pe gadhe ko baap banane ki misal deti hai. lekin ye misal koi nahin deta ki kya khubi hai gadhe main ki shayne log usko baap tak banane ke liye majboor ho gaye!

I see it as an absolute brilliance & innocence at the same time that gadhe ka estemal ho raha hai aur jo gadhe ko baap bana ke apni hoshiyari pe gad gad hote hain un kamjarf logon ko gadhe ki sharafat nazar hi nahin aati.

wo lalach ke kale chashme se sirf estaimal karne ke hunar pe kush hain. aur gadha kisi ke kaam aane ke punya se santusht hai!

Jai gadhe ki!

Comments

Popular posts from this blog

Breaking News.Terror plot behind Serial bombings in India.The real TRUTH in focus with me

ZabaAn- an Issue

Saddam Vs Gandhi