Posts

Showing posts from June 14, 2009

sang-e-dil

Sang-e-dil-ushshaaq, dil pe paiband liye hue, Chale gaye woh jo kabhi ham-sukhan hua kare. (ham_suKHan = together, ushshaaq = lovers, paiband=patch) Boot-e-sifaal baqi reh gaya, gum kis kadar jiye, Noor-e-jamal kho gaya jo talab aanso kiya kare. (Sifaal=clay, jamal=beauty) Tijarat-e-eshq main hisaab na rakha na manga roop, Duniya ne banta sab magar; hum talab dard hi kiya kare. (Tijarat=trade, faiz=profit,) Manzar-e-Qyamat kya kahiye, hum tanha tanha phir se hain, Hai akhiri hasrat wasl-e-sanam khud ki wehshat se jhuja kiye. (Hasrat=wish, wasl=meeting, wehshat = solitude)