yunhi

Aatish-e- jazbaat sulagte rahe shab-o-roz yunhi,
Intzaar –e-mehrbaan ka charmarta raha har roz yunhi!

Palkon ne buhara rahon ko, ashkon ne lagaye fawware,
Dhadkan ne chede saaz kai, siski se bandhi saanse yunhi!

Tanha lamhon se saji mehfil, har aahat pe dil dhadke unhi,
Intzaar-e-ulfat se hui shaamain siyah,har roz jage ummeed yunhi!

Aane ka manzar kya hoga, kaisi hogi mulaakat bhala,
Nazrain pathraai, bojhil si, rahon main pada dil jaane yunhi!

Ankhon main dhadakta dil harso, mulakaat ke sapne bunta raha,
Main hansti- roti, soti-jagti, sapno main apne sulagti yunhi!

composed in April 2000

Comments

Popular posts from this blog

Saddam Vs Gandhi

My Truth

Breaking News.Terror plot behind Serial bombings in India.The real TRUTH in focus with me